Hanste hanste bhi zindagi bhi mein ek khamoshi si chhai hai
Naa jaane kahanse is bheed mein aayi yeh tanhaai hai
Bhaagte bhaagte ek thakaan si aayi hai
Theher ke dekho kabhi, kahan khogayi apni hi parchhayi hai
Har kaamyabi ke piche koi na koi hansi murjaayi hai
Aage badte badte kyunki guzare zamane ki pukar yeh hawa laayi hai?
Sabkuch hote hue kyun kabhi aankhon mein ek nami aayi hai?
kyun rehti hai talash waisi jo kabhi naa poori ho paayi hai?
Apni dil ki gunj to chipaaye na chip paayi hai
Bhulte nhi bhulati kuch baatien yeh aaj fir kaisi yaad aayi hai?
Waqt ne fir yeh kaisi bhuli hui dhun sunayi hai?
Judi hai humse jo yaadein vo kuch chahyi anchahyin hai
Suraj ke hote hue bhi roshni mein parchayi hai
Raasta seedha tha par fir kyun itni thokkar humne khaayi hai?
Andar se yeh awaz aayi hai
Shayad thoda deere hai chalna humein jisse asmaan na sahi , zameen to nazar mein aayi hai.
Lovely one!! :)
ReplyDeleteSometimes we keep on running after one thing or another.When we are engrossed in chasing certain things, we are losing the simple pleasures in life creating a emptiness within us.