Auron se thake hoge tum kabhi na kabhi,
Thame honge kadam tumare bhi kabhi na kabhi,
Kaun khudese thak kar tham jaata hai,
Haare hoge tum bhi kabhi na kabhi
Roye hoge us haar pe tum bhi kabhi na kabhi
Kaun hai jo jeet pe aaansu bahata hai?
Kosa hoga jahan ko tumne bhi kabhi na kabhi
Muh morha hoga duniya se tumne bhi kabhi na kabhi
Par Kaun hai jo duniya ko muh dikhata aage jaata hai?
Muskuratein yaad ayin hongi tumhe bhi kabhi na kabhi
Hansi wale din bhi gunje honge tumhari ruh mein kabhi na kabhi
Kaun hai jo aaj ke din muskurahat bdata hai?
Khud ke ghum mein dube hoge tum bhi kabhi na kabhi.
Khincha hoga hoga ek par kisine kabhi na kabhi
Par Kaun hai jo us ghum ke sehlab se tairna sikhata hai?
kaun hai jo khudse thak kar tham jata hai?
No comments:
Post a Comment